andhere dasht mein dukhiya sakina kyun chali aayi
tan e be-sar ye kehta tha sakina kyun chali aayi
pade hai khaak par tukde yahan talwaron naize ke
na zakhm aaye koi gehra sakina kyun chali aayi
andhere dasht mein…
bachaye ksi tarha tum ko sitamgar ki jafa'on se
bahot majboor hai baba sakina kyun chali aayi
andhere dasht mein…
na do awaaz itne karb se sehra e khooni mein
ajal ka hai yahan pehra sakina kyun chali aayi
andhere dasht mein…
dil e baba kya guzri tumhe is haal mein paa kar
ye pehne khoon bhara kurta sakina kyun chali aayi
andhere dasht mein…
bhatak jaogi ran mein kaun pahuncha-ega qaimon tak
nahi koi aneez aisa sakina kyun chali aayi
andhere dasht mein…