Kanz e Aza

Ay Baba Dekhte Rehna

A noha for Shehzadi Sakina (s.a), written by Asif Bijnori. Lyrics in Roman Urdu.

sakina kehti jaati thi sar e shabbir se ro kar

bithaata hai mujhe shimr e sitamgar pushte naaqa par

ay baba dekhte rehna


khuda ke waaste rakhna nazar mujhpar mere baba

na jaane kyun sataata hai ye mujhko darr mere baba

kahin aisa na ho ke raah mein mar jaun mai gir kar

ay baba dekhte rehna

bithaata hai mujhe...


mere nazdeek se shimr e sitamgar jab guzarta hai

yateemi par khuda jaane meri kyun tanz karta hai

kahin aisa na ho rakh de gulu e khusk par khanjar

ay baba dekhte rehna

bithaata hai mujhe...


rehm khaaya na meri kamsini par baani e shar ne

shutar ki pusht se baandha hai ay baba sitamgar ne

mai sar se paon tak odhe huwe hoon zakhmon ki chadar

ay baba dekhte rehna

bithaata hai mujhe...


meri aankhon ke aage aap ka chehra rahe baba

mujhe dedaar dauraane safar hota rahe baba

har ek sadma saha karlungi lekin mujhko mud mud kar

ay baba dekhte rehna

bithaata hai mujhe...


mai saabir baap ki beti hoon dunya ko bataungi

mujhe jis haal mein le jayenge aada mai jaungi

na aayega kisi bhi mod par shikwa mere lab par

ay baba dekhte rehna

bithaata hai mujhe...


chacha abbas ka sar kyun nazar aate nahi mujhko

mai kab se dhoondti hoon par nazar aata nahi mujhko

teher jaaye to batlana sar e naiza chacha ka sar

ay baba dekhte rehna

bithaata hai mujhe...


meri kismat ne ay baba ye kaise din dikhaye hai

khuda jaane ke ab tak kitne pathar maine khaaye hai

mai roti hoon to ghurbat par meri haste hai ahle shar

ay baba dekhte rehna

bithaata hai mujhe...


laga rakhi hai ay baba mere rone pe pabandi

bata sakti nahi jo kaifiyat is waqt hai meri

musalsal khaa rahi hoon pusht par kode kabhi pathar

ay baba dekhte rehna

bithaata hai mujhe...


karun mai daastan e ranj o gham asif bayan kaise

sunaye ahle emaan ko sakina ki fughan kaise

sada ye aaj bhi ay shadman aati hai reh reh kar

ay baba dekhte rehna

bithaata hai mujhe...