Kanz e Aza

Tu Jab Bhi Pukarega

A noha written by Asif Bijnori. Lyrics in Roman Urdu.

tu jab bhi pukarega chali aaungi beta

turbat may bhi aaram kahan paungi beta


ay laqte jigar noore nazar tum pe mai qurban

har waqt tere saat rahegi ye teri maa

bin tere kahin chain nahi paungi beta

tu jab bhi pukarega...


mayyat pe bhi milne ki agar dega sadayein

maa bande kafan tod ke le legi balayein

jo kehti hoo wo kar ke bhi dikhlaungi beta

tu jab bhi pukarega...


qismat jo kabhi teri watan tujhse chudaye

ay laal mere aisa kabhi waqt jo aaye

ghabrana nahi saath tere jaaungi beta

tu jab bhi pukarega...


jis waqt qadam rakhega tu karbobala may

wallah chupa lungi tujhe apni rida may

saaye ki tarha saath nazar aaungi beta

tu jab bhi pukarega...


mat soch ke jazbat na qaboo may rahenge

jis waqt layeen qaime hatane ko kahenge

us waqt mai abbas ko samjhaungi beta

tu jab bhi pukarega...


mehroom mere haq se karenge tujhe zaalim

peene ke liye pani na denge tujhe zaalim

pyasa mai tujhe dekh nahi paungi beta

tu jab bhi pukarega...


ashoor ke din hoga sawa naize pe suraj

ta dayr jo tehrega sawa naize pe suraj

baahon may chipane ko chali aaungi beta

tu jab bhi pukarega...


baalon se mai maqtal ki zameen saaf karungi

wallah ke har lamha wahin baithi rahungi

bichdungi to aaram kahan paungi beta

tu jab bhi pukarega...


palkon se nikalungi sabhi teer badan ke

har aah pe bosay mai tere lungi dehan ke

mai shimr ke khanjar se lipat jaungi beta

tu jab bhi pukarega...


asif ye sukhan sun ke chale qalb pe khanjar

ta dayr hussain ibne ali roye lipat kar

aamir ye kaha maa ne na reh paungi beta

tu jab bhi pukarega...