Kanz e Aza

Tu Jise Milgaya Hussain

A noha for Imam Hassan (a.s) (2017). Lyrics in Roman Urdu.

Marhaba Hussain Marhaba

Marhaba Hussain Marhaba


Teri Shaan Marhaba

Marhaba....


Tu Jise Hussain milgaya*2

Usko Kainaat Milgayi

Tu Jise Hussain Milgaya*2

Marke Bhi Hayat Milgayi

Tu Jise Hussain Milgaya*2


1)

Kibriya Ka Tu Yaqeen Hai

Tere Har Amal Me Deen Hai

Ismaton Ka Sheh Nasheen Hai

Anbiya Ka Jaanasheen Hai

Bas Use Nijaat Milgayi...


Tu Jise Hussain Milgaya*2

Usko Kayenat Milgayi

Tu Jise Hussain Milgaya*2


2)

Martaba Nabi Se Poochiye

Kya Hai Bandagi Se Poochiye

Aam Admi Se Poochiye

Hur Ki Zindagi Se Poochiye

Khuld Haton Haath Milgayi...


Tu Jise Hussain Milgaya*2

Usko Kayenat Milgayi

Tu Jise Hussain Milgaya*2


3)

Kul Jahan Ka Kaarsaaz Hai

Sar Kata Ke Sarfaraz Hai

Tera Zikr Bhi Namaz Hai

Tu Shariyaton Ka Naaz Hai

Saari Deeniyat Milgayi...


Tu Jise Hussain Milgaya*2

Usko Kayenat Milgayi

Tu Jise Hussain Milgaya*2


4)

As Salam Waris E Qaleel

Keun Na Madha Khwa'n Ho Jibrail

Hai Tera Karam Bohat Taweel

Hai Mina Ki Raunaqe'n Daleel

Noor Ki Barat Milgayi...


Tu Jise Hussain Milgaya*2

Usko Kayenat Milgayi

Tu Jise Hussain Milgaya*2


5)

Aayena Hai Tu Shauoor Ka

Tarjumaan Hai Zaboor Ka

Aks Hai Khuda Ke Noor Ka

Fakhr Hai Kaleem Toor Ka

Kibriya Ki Zaat Milgayi


Tu Jise Hussain Milgaya*2

Usko Kayenat Milgayi

Tu Jise Hussain Milgaya*2


6)

Tere Ishq Ne Misal Di

Sab Ki Zindagi Samabhal Di

Haq Ne Yeh Hayat Dhaal Di

Bandagi Me Jaan Daaldi

Rooh E Wajibat MilGayi...


Tu Jise Hussain Milgaya*2

Usko Kayenat Milgayi

Tu Jise Hussain Milgaya*2


7)

Jab Tere Qareeb Aagaya

Joun Noor Me Nahagaya

Youfo'N Ke Dil Chagaya

Shehre Misr Tilmilaga

Husn ko Zakat Milgayi...


Tu Jise Hussain Milgaya*2

Usko Kayenat Milgayi

Tu Jise Hussain Milgaya*2


8)

"Aamir"/"Akhtat" Aur Tera Gham

Dil Me Karbala Hai Mohtaram

Behisaab Hai Tera Karam

Kya Dare Kisi Bala Se Hum

Radde Mushkilat Milgayi...


Tu Jise Hussain Milgaya*2

Usko Kayenat Milgayi

Tu Jise Hussain Milgaya*2

Marke Bhi Hayat Milgayi

Tu Jise Hussain Milgaya*2

Usko Kayenat Milgayi

Tu Jise Hussain Milgaya*2


Teri Shaan Marhaba...