qatl karne ke iraade se sitamgar jo badha
hogayi dasht e bayaban ki khamosh fiza
paas aaya to qayamat ka ye manzar dekha
sajda e shukr may sar rakhe huwe shaahe huda
bhai abbas ko dete thay sada
zarb jab lagti thi tab shaahe huda
bhai abbas ko dete thay sada
tan se sar hota tha jis waqt juda
bhai abbas ko dete thay sada
jaanta tha ke shahe jinn o bashar pyase hai
jumbishe lab se ye lagta tha ke kuch kehte hai
shimr ne kaan laga kar jo suna
bhai abbas ko dete thay sada...
aisa bhai bhi zamane may na dekha na suna
bhai ko jisne tahe taygh e sitam yaad kiya
har mu'arrikh ne likha shaah e huda
bhai abbas ko dete thay sada...
waar jis waqt kiya karta tha gardan pe layeen
kaamp jaata tha falak hilti thi maqtal ki zameen
jab bhi shabbir ka kat'ta tha gala
bhai abbas ko dete thay sada...
aah karte thay na faryad o buka karte thay
koi shikwa na shikayat na gila karte thay
ummat e aasi ko dete thay dua
bhai abbas ko dete thay sada...
binte hyder jo nazar aayi dare qaima par
mai abhi zinda hoo zainab ye pukare sarwar
baad az sibt e rasool e dosara
bhai abbas ko dete thay sada...
pehli cheh zarbon may har ek ko kiya yaad magar
phir na ghazi ke siwa aaya koi bhi lab par
hogaya hone ko sar tan se juda
bhai abbas ko dete thay sada...
aakhri zarb jo zaalim ne lagayi asif
hogayi sheh ke tan o sar may judaai asif
shadman tab bhi shah e karbobala
bhai abbas ko dete thay sada...