Kanz e Aza

Bhai Hussain Kya ye tumhaari hi laash hai

A noha for Imam Hussain (a.s) (2018). Lyrics in Roman Urdu.

Laash par mazloom bhai ki jab aayi thi bahan

aankh se aasu rawa the aur tha lab par sukhan

ya hussain, ya hussain..(2)

teero se jiska saara badan paash paash hai..(2)

bhai hussain kya ye tumhari hi laash hai..(2)

1. Amma ne jeeteji jise rone nahi diya

ranjo alam koi bhi uthane nahi diya

hadd hai ke dhoop mein bhi nikalne nahi diya

amma ne jisko kaata bhi chubne nahi diya


teero se....


2. Tan par jo ek libaas tha wo taar taar hai

zakhmo se jism hi nahi dil bhi figaar hai

har teer tere jism ka khud sogwaar hai

is laash par ghareeb behen ki pukaar hai


teero se....


3. Qurbaan teri laash par aye jaan e sayyada

afsos teri laash par sar bhi nahi raha

ye haal tera dekh ke karti hu mai buka

behti hai meri aankh se ashko ki alqama


teero se....


4. Abbas ko bulau ya akbar ko du sadaa

tumne uthaya dasht mein laasha har ek ka

laasha uthau mai tera mazloom e karbala lekin ghareeb e nainawa mujhko ye tu bata


teero se....


5. Paala tha maa ne kya tumhe is din ke waaste

maqtal ki garm ret par tadpoge pyaas se

be rehm log le gaye sar tann se kaat ke

pehchanu kaise laash ko tu hi bata mujhe


teero se....


6. Farhan o mazhar abidi kaise kare baya'n

karbobala ke dasht mein laasho ke darmiya'n

is bekasi ro padi makhduma e jaha'n ki laasha e hussain pe zainab ne jab fugha'n


teero se....