bhaiya mere bhaiya, bhaiya mere bhaiya
mai doongi kafan aap ko dafna'ungi laasha
bhaiya mere bhaiya...
aazad hui qaid se lo mil gayi chadar
ay bhai utho qaid se mai aagayi lutkar
mai ashkon se baandh'ungi tere laal ka sehra
bhaiya mere bhaiya...
ek roz mai is tarha teri laash se guzri
jis tarha ke tujhse mera rishta nahi koi
par ab to zara uthke kaleje se lipatja
bhaiya mere bhaiya...
ay bhai bahot royi hoo furqat mein tumhari
rone ke siwa karti bhi kya dard ki maari
hotay thay sitam leti thi jab naam tumhara
bhaiya mere bhaiya...
abbas utho dekho behan milne ko aayi
kya baat hai uth'te nahi deti hoo duhaai
hamsheer se moo aapne kis baat pe phera
bhaiya mere bhaiya...
bazaaro se darbaro se zindano se aayi
be-parda phirayi gayi aur maut na aayi
balon se chipati rahi baazaro mein chehra
bhaiya mere bhaiya...
zindan mein sakina ko ajal aagayi bhai
us ghor andhere mein lehad uski banayi
bachi ka kafan bangaya us bachi ka kurta
bhaiya mere bhaiya...
sajjad ko jakda gaya zanjeere sitam mein
ek ek qadam marti rahi hoo tere gham mein
pardes mein kismat ne nabi zadi ko loota
bhaiya mere bhaiya...
kis tarha watan ja'un tumhe chor ke ban mein
tanha to nahi ja'ungi ay bhai watan mein
batla'ungi kya jab poochegi jab fatema sughra
bhaiya mere bhaiya...
kis kis ko nishan rassi ke dikhla'ungi mai jaa kar
na qasim o akbar hai na abbas e dilawar
bin aap ke ghar qabr se to kam nahi hoga
bhaiya mere bhaiya...
rehan fughan zainab e dilgeer ki sun kar
goya hua hamsheer se yun laasha e sarwar
milta hai sukoon mujhko behan yuhin kahe ja
bhaiya mere bhaiya...