Kanz e Aza

Ek Natiqe Quran

A noha for Imam Hussain (a.s), written by Rehaan Azmi. Lyrics in Roman Urdu.

ay natiq e quran ya maula

ay waaris e quran ya maula


ek natiq e quran naize par quran sunata jaata hai

aur waaris e quran marqad mein khaak udaata jaata hai


quran e masayeb ke sar se juzdaan utaare jaate hai

ek ek aayat ke seene mein khanjar jo utaare jaate hai

quran ke haafiz ke haathon quran jalaya jaata hai

ek natiq e quran...


ek chota sa quran abhi naize pe jo maine dekha hai

seh pehlu teer se us ka gala takbeer suna kar cheda hai

ek rehl-numa jhoole ko sar e maidan jalaya jaata hai

ek natiq e quran...


quran sifat wo do bacche jo doshe nabi ke raakib thay

wo jin ke galay mehboobe khuda chooma karte thay aankhon se

kabhi zehr pilaaya jaata hai teeron pe sulaya jaata hai

ek natiq e quran...


quran ka parda rakhna hai ay umme abiha teri tarha

sajjad ki majboori dekho tadpa hai kisi machli ki tarha

kausar si choti aayat ko turbat mein chupaya jaata hai

ek natiq e quran...


kuch choti badi aayaat bhi thi ek soora bhi qaidi dekha

bazaar e sitam mein be parda suraj ne wo chehra bhi dekha

jise saani e zahra kehte huwe palkon ko jhukaya jaata hai

ek natiq e quran...


tatheer ki aayat jin ke liye khud kaatib e qismat ne likhi

us aayat ki tafseeron ko saaya na mila chadar na mili

baala e sitam be-maqna unhe darbar mein laaya jaata hai

ek natiq e quran...


ay kalmago kuch sharm to kar ay qaari e quran doob ke mar

quran e imamat ki dukhtar kis tarha kare kaanton pe safar

in pairon ke riste khoon se zam zam ko banaya jaata hai

ek natiq e quran...


be-ghusl o kafan kitne quran pamaal kiye haye haye

afsos ke baa e bismillah naizon pe utha ke le aaye

quran ki hurmat loot ke ye kyun jashn manaya jaata hai

ek natiq e quran...


chonsat paare raston mein giray aaghosh se apni maaon ki

khoon rang hui raahon ki zameen in bacchon ki turbat na bani

in ujdi godh ki maaon ko phir khoon rulaaya jaata hai

ek natiq e quran...


quran mein rakha hai khudrat ne har khushk o tar ka zikr magar

kuch aise quran dekhe gaye ashoor ko apne khoon mein tar

wo jin ke paseene se kaabe ko ghusl karaya jaata hai

ek natiq e quran...


quran e aza hai farshe aza rehaan e aza rizwan e aza

ye nauha e gham roadad-e-sitam zahra ki qasam bar doshe hawa

majlis mein suna kar zahra ko mehman banaya jaata hai

ek natiq e quran...