hai waqte azan aa ali akbar azan de
bole pisar se sipte payambar azan de
ye aakhri azan hai sajda bhi aakhri
arshe bari pe sunte hai haider azan de
hai waqte azan…
thandak mile rasool ke rauze se mere laal
ek aag si hai seene ke andar azan de
hai waqte azan…
naame khuda rasool ka baakhi rahega deen
is deen ki baqa ke muqaddar azan de
hai waqte azan…
kehti hai ye madine se ye aati hui hawa
sughra bhi muntazir hai biradar azan de
hai waqte azan…
fauje adoo ko haq ki sadaqat dikhaai de
nade ali ke zor par uth kar azan de
hai waqte azan…
jiska gala nabi ke labon ki ho ja-namaaz
phir wo gala na kyon tahe khanjar azan de
hai waqte azan…
chalte hai teer kitne namazi hai khoon may tar
ay mere laal sabr ke paykar azan de
hai waqte azan…
rehaan ye namaz e aqeedat ka waqt hai
nauhon ko tu azan bana kar azan de
hai waqte azan…