haye akbar haye akbar haye akbar haye akbar
mar gaye laal mere kha ke sina seene par
aagayi neend tumhe dasht e bala mein kyun kar
haye akbar haye akbar...
dil mein armaan thi shadi ki tumhari beta
aas tooti hai har ek dil ki hamari beta
aankh se ashk nahi khoon hai jaari beta
kya kare ranj o musibat ki ye maari beta
ab tumhe dhoon ke layegi kahan se maadar
haye akbar haye akbar...
raah takti hai madine mein tumhari sughra
muztarib hai ghame furqat mein bechari sughra
khat mein likha hai yehi dard ki maari sughra
aah bhar bhar ke kiya karti hai zaari sughra
kya bataungi mai sughra ko madine jaa kar
haye akbar haye akbar...
hai ajab haal judaai mein phupi amma ka
poochte kya ho jo manzar hai dil e veeran ka
hogaya khoon mere dil ke har ek armaan ka
marhala aur bhi aage hai ghame zindan ka
sar se cheene hai hamare ye sitamgar chadar
haye akbar haye akbar...
hum rasan basta huwe shaam ke bazaar gaye
ban ke qaidi sar e darbar sitamgaar gaye
qasre zaalim mein mohamed ke tarafgaar gaye
bediyan pehne huwe abid e bemaar gaye
kaise batalun tumhe zulm jo toote hum par
haye akbar haye akbar...
nauha akhtar ne tumhare ye kiya dil se raqam
aur padha is ko hai mohsin ne basad ranj o alam
majlis e sheh mein qayamat ka bapa hai matam
un pe ta hashr rahe shaah ke altaf o karam
dil se deti hai duayein ye tumhari maadar
haye akbar haye akbar...