maa ka naala laash tak aata hai
akbar ghar mein aao
dekh koi yun bhi rulwata
haye akbar ghar mein aao
aakhri dedaar mumkin ho to dikhlado mujhe
laash uthane ran mein baap aata hai
akbar ghar mein aao
haye akbar ghar mein aao
tukde tukde hogaya nazuk kaleja waqte jang
is tarha barchi koi khata hai
akbar ghar mein aao
haaye akbar ghar mein aao
sadqe ja'ungi wafa ehde jawani ne na kuch
itne jaldi koi mar jaata hai
akbar ghar mein aao
haaye akbar ghar mein aao
tum yahan maqtal mein ho aur maa hai deodi par tapan
meri jaan ulfat mein farq aata hai
akbar ghar mein aao
haaye akbar ghar mein aao
tumse milna kya tumhari maa ke kismat mein nahi
dil mera kaahe ko ghabrata hai
akbar ghar mein aao
haaye akbar ghar mein aao
qaime ke dar par tumhare waaste roti hai maa
aisa koi maa ko rulwata hai akbar ghar mein aao
akbar ghar mein aao
haaye akbar ghar mein aao