Kanz e Aza

Haye Ali Ali

A noha for Shaam e Ghareeba, written by Nayyar Jalalpuri. Lyrics in Roman Urdu.

haye ali ali ali

haye ali ali ali


qatl huwe shaahe zamaan

ran mein hai mehshar ka samaan

qaimon se uth'ta hai dhuaan

jaaye kahan aale nabi

haye ali ali ali...


abid e betaab o tawan

qaid huwe aake kahan

haathon mein hai hatkadiyan

paon mein bedi hai padi

haye ali ali ali...


kaun ye be-jaan hua

be-sar o saaman hua

ghar hai ke veeran hua

ban hai ke shamshaan hua

kaun hai ye nauha kuna

goonjti hai kiski fughan

roti hai shayed koi maa

khasta jigar kokh jali

haye ali ali ali...


naazishe khatme ambiya

waarise fakhre ausiya

sayyede bazme auliya

haye kise qatl kiya

shamme imamat hui gul

bosagahe khatme rusul

khoon se hui kul

haye kahan taygh lagi

haye ali ali ali...


shaahe zaman paas nahi

pehre pe abbas nahi

bewon ko kuch aas nahi

zulm ko ehsaas nahi

ban mein hai dehshat ki fiza

chalti hai tham tham ke hawa

maut ki chaayi hai ghata

neend na aayegi kabhi

haye ali ali ali...


uff ye yateemi ye sitam

haye ye sayli ye waram

dil mein liye baap ka gham

ban mein kahan rakhe qadam

laashe hai ta-hadde nazar

kis se kahe jaane pidar

chin gayi kaano se gohar

kurte mein bhi aag lagi

haye ali ali ali...


waaris e mazloom utho

maadar e masoom utho

bekas o maghmoom utho

zainab o kulsoom utho

binte shahe jinn o bashar

dhoondne ko baap ka sar

chod ke ujda hua ghar

tanha suye dasht chali

haye ali ali ali...


qasim o akbar bhi nahi

aun bhi jafar bhi nahi

saath baradar bhi nahi

parde ko chadar bhi nahi

kya kare mazloom behen

ban gayi haathon mein rasan

baap to tha khalla shikan

beti hai lachaar khadi

haye ali ali ali...


seh ke sitagar ke ghazab

bacche mere soyenge jab

lootne ko aise mein ab

aata hai ye kaun arab

kis khadar aazaar sahun

gham mein giraftar rahun

apni fughan kis se kahun

aaoge kab baba ali

haye ali ali ali...


bikhre hai laashe ran mein

nikli hoon tanha ban mein

jaan hai mushkil tan mein

phir bhi nahi uljhan mein

faatahe khyber utho

beti ki faryad suno

aao kuch imdad karo

dekho ye khyber shikani

haye ali ali ali...


nayyar o aamir kyun kar

hum se bayan ho manzar

soche to phat jaye jigar

us shabe gham ka manzar

kis tarha wo waqt kata

dasht mein tha hashre aza

gham mein tha kohraam bapa

ek qayamat thi machi

haye ali ali ali...