haye kis tarha kati sham e ghariban zainab
kitna purhol tha karbal ka bayaban zainab
haye kis tarha…
aag qaimon mein lagi bhai bhatije na pisar
kitni us waqt hui aap pareshan zainab
haye kis tarha…
ek barchi ne jigar kar diya chalni warna
kitne thay dil mein tere hasrat o armaan zainab
haye kis tarha…
aag ke sholon se sajjad ko laayi kyon kar
aaj tak qalb hai us haal pe giriya zainab
haye kis tarha…
qalbe majrooh pe kya guzri shabe ghurbat mein
aaya jis waqt nazar ganje shaheedan zainab
haye kis tarha…
toota sa naiza liye aap andheri shab mein
misle abbas rahi sab ki nigehban zainab
haye kis tarha…
pusht par haath bandhe sar khule aada ke sitam
kaise dafnati bhala laashe shaheedan zainab
haaye kis tarha....