din dhal gaya hai logon
ghar jal gaya hai logon
zainab ujad gayi hai
haye shaam e ghariban
zainab ke sar se dekho chadar bhi cheen li hai
bemaar ek jaan ko kaisi saza ye di hai
abid bhi ro raha hai daaman bhigo raha hai
zainab ujad gayi hai
haye shaam e ghariban...
loota hai zalimon ne zahra ke gulistan ko
dekho lage tamache nanhi si ek jaan ko
be-aasra sakina bhai padar bhi cheena
zainab ujad gayi hai
haye shaam e ghariban...
laashe pe jaake baap ke kehti hai ye sakina
phir kab milega baba mujhko tera ye seena
dushman jahan hai mera cheena hai pyar tera
zainab ujad gayi hai
haye shaam e ghariban...
aaya sawaar koi qaimon mein ek hijab mein
poocha batool zaadi ne tu kaun hai naqaab mein
bole ali na ghabra ye kya hua hai batla
zainab ujad gayi hai
haye shaam e ghariban...
roke kaha ye zainab ne hum lut gaye hai baba
maidan e karbala mein hum mit gaye hai baba
haye zulm kya hua hai haye kya sitam hua hai
zainab ujad gayi hai
haye shaam e ghariban
daaman kisi ka dekho aatish se jal raha hai
logon yehi sakina asghar se jo juda hai
bhai kisi ka bichda gulshan ali ka ujda
zainab ujad gayi hai
haye shaam e ghariban
nasir ye shaam kaisi aayi hai karbala mein
kya kya musibaton ko laayi hai karbala mein
bhai bichad gaya hai ghar bhi ujad gaya hai
zainab ujad gayi hai
haye shaam e ghariban