Kanz e Aza

Jal Chuke Qaime

A noha for Shaam e Ghareeba, written by Raza Sirsvi. Lyrics in Roman Urdu.

jal chuke qaime yateemon ke andhera reh gaya

raat roti reh gayi rota savera reh gaya


jo baraati bach gaye wo qaid hoke chal diye

saare dasht e nainawa may ek dulha reh gaya

jal chuke qaime...


yaadgarein reh gayi do maadar e asghar ke paas

ek kurta khoon bhara aur ek jhoola reh gaya

jal chuke qaime...


umme laila ro ke boli shaah e deen jaldi chalo

nok pe barchi ki akbar ka kaleja reh gaya

jal chuke qaime...


sehra e akbar ki ladiyan khoon may tar hogayi

haye sughra ka har ek armaan adhoora reh gaya

jal chuke qaime...


sab hi laashon ko utha kar chal diye kufe ke log

tapti reti par mohamed ka nawasa reh gaya

jal chuke qaime...


phool zahra ke chaman se sab hi tode jaa chuke

jalte qaimon may bas ek bemaar tanha reh gaya

jal chuke qaime...


sar khule zainab chali qaimon se ye keh kar raza

khanjaron ki bheed may bhai akela reh gaya

jal chuke qaime...