Kanz e Aza

Jalte Hue Qaimo

A noha for Shaam e Ghareeba, written by Anees Pehersari. Lyrics in Roman Urdu.

jalte hue qaimon may sada goonj rahi hai

abbas abbas abbas ab aao


ye lashkare be-deen rida cheen raha hai

saydaniyo pa shimr ki durro se jafa hai

abbas abbas abbas bachao


na mehramo ka majma hai aur hum hai khule sar

ghayre hue hai dushmane deen aur sitamgar

abbas abbas abbas hatao


zaalim hamay lachaar samjhte hai baradar

naizo ki chubote hai ani pusht pa aa kar

abbas abbas abbas bachao


durr bali sakina ke sitamgar ne utaare

rukhsaar pa be-jurm tamache bhi hai maare

abbas abbas abbas bulao


zid karti hai soti nahi roti hai sakina

aagosh tumhari hai na hai baap ka seena

abbas abbas abbas sulao


aada ne jala dala bayaban may maskan

jalta hai sakina ka teri aag se daaman

abbas abbas abbas bujhao


ay kaash anees itna hi ban jaye muqaddar

bosa loo zarih e shah e abrar ka ja kar

abbas abbas abbas bulao