Kanz e Aza

Karte Thay Sarwar Buka

A noha for Moula Abbas (a.s), written by Anees Pehersari. Lyrics in Roman Urdu.

karte thay sarwar buka haye kamar jhuk gayi

mar gaya bhai mera haye kamar jhuk gayi


margaye hum jeete ji chut gaye humse aqi

hogaye baazu juda haye kamar jhuk gayi

mar gaya bhai mera…


khuwate baazu tha wo qalb ki taaqat tha wo

hogaye hum benawa haye kamar jhuk gayi

mar gaya bhai mera…


thaam lo baazu pisar le chalo suye faraat

mar gaye tere chacha haye kamar jhuk gayi

mar gaya bhai mera…


le chalo akbar wahan bhai hai mera jahan

jald chalo mehleqa haye kamar jhuk gayi

mar gaya bhai mera…


dar pe khadi beqarar karti hai wo intezar

us se kahunga mai kya haye kamar jhuk gayi

mar gaya bhai mera…


le ke chacha ka alam noha ye padte huye

jao suye qaimagah haye kamar jhuk gayi

mar gaya bhai mera…


pyaas se sab hai nidhaal pani ka hoga sawaal

kehna wo sab beh gaya haye kamar jhuk gayi

mar gaya bhai mera…


aisa anees ab kahan paaega sibte nabi

jaisa ke abbas tha haye kamar jhuk gayi

mar gaya bhai mera…