Kanz e Aza

Poocha Asghar ke Liye

A noha for Ali Asghar (a.s), written by Anees Pehersari. Lyrics in Roman Urdu.

poocha asghar ke liye shah ne kya mangte hai

roke bano ne kaha aab e baqa mangte hai

poocha asghar ke....


hiddate dasht se muztar hai faqat saaye ko

jaane zehra ka ye daaman e khaba mangte hai

poocha asghar ke....


apne cheh maah ke bache ke liye aada se

pani ek boond shahe karbobala mangte hai

poocha asghar ke....


baksh de ummate jad tujhko mere khoon ki qasam

khaake paykaan ali asghar ye dua mangte hai

poocha asghar ke....


ahlebayt e nabawi shaam ke bazaron may

sar chupane ke liye ek rida mangte hai

poocha asghar ke...