Kanz e Aza

Tay Kiya Safar Kaise

A noha for Zain-ul-Abedeen (a.s), written by Anees Pehersari. Lyrics in Roman Urdu.

tay kiya safar kaise pehne bediyan abid

sar khule thi naaqon par saath bibiyan abid


teen din ke pyase thay aur shiddate tapti

usne kar diya hoga kitna neemjaan abid

tay kiya safar…


sar burida naizo par ran may bekafan laashe

kaise dekha aankhon ne haye wo samaan abid

tay kiya safar…


bekaja wa oonton par hai haram barehna sar

sar jhukaye jaate hai banke saarban abid

tay kiya safar…


jalte qaimon ka manzar phirta tha nigahon may

ut'the dekh lete thay jab kahin dhuan abid

tay kiya safar…


tauq hatkadi pehne kaise qabr khodi thi

kis tarha se dafnayi shah-e-deen ki jaan abid

tay kiya safar…


jab bi jaam pani ka saamne nazar aaya

rote thay wo pyason par leke hichkiyan abid

tay kiya safar…


zikr tashna-kaamon ka suboh shaam karta hai

yun anees hai tujh par aaj mehrbaan abid

tay kiya safar…