Kanz e Aza

Ujda Hua Khaafila

A noha for Zain-ul-Abedeen (a.s), written by Dayam Najafi. Lyrics in Roman Urdu.

jab tauq o salasil mein musalsal huwe abid

aada to chade ghode pe paidal huwe abid

phupiyan sar e naaqa nazar aati hai khule sar

aur saamne sar baap ka naize pe alam tha


ujda hua khaafila le chale zainul leba

alwida shaah e zaman waqt e ruqsat aagaya


bibiyan hai nange sar har taraf hai wavaila

ujda hua khaafila le chale zainul leba


haye abbas e jari haye akbar na rahe

koi bhi monis nahi aaj abid kya kare

har taraf hai bebasi khatm lashkar hogaya

ujda hua khaafila...


aagayi bewon ki shaam jal chuke qaime tamaam

shimr ki ha ghurkiyan binte shahe tishna kaam

kya kare binte nabi zulm hai hadh se siwa

ujda hua khaafila...


odh ke kunbe ka gham sote hai shaahe umam

jalti hui rayt par baithe hai ahle haram

aise kathin waqt mein sajda e shukr e khuda

ujda hua khaafila...


kya kare tashna jigar chin gaye uske gohar

zakhmi hui hai lavein khoon se kurta hai tar

shaah ki ghamkhwar ka haal hai sab se bura

ujda hua khaafila...


kuch nahi bachon mein taab jaise maahi e be-aab

dhoop mein kumla gaye baaghe nabi ke gulaab

lut gaya baaghe nabi haye ghazab hogaya

ujda hua khaafila...


kya milay dukhiyon ko chain ab nahi baakhi hussain

hai qayamat ka samaa chaar soo hai shor o shain

roti hai sar khol ke dasht mein khairunnisa

ujda hua khaafila...


haath mein hai hathkadi paaon mein hai bediyan

halq mein tauq e garan pusht pe hai sayliyan

kis tarha se le chale natawan ye khaafila

ujda hua khaafila...


bekas o nachaar ko shaah ke ghamkhwar ko

maari gayi sayliyan abid e bemaar ko

laaghar o nachaar pe rehm na khaaya gaya

ujda hua khaafila...


saarbana e haram baad e shahe karbala

dayam o yazdan ajab haal abid ka hua

le chale hai khaafila wo bhi hai ujda hua

ujda hua khaafila...