ek hashr ka hai manzar ye kiska janaza hai
sadaat hai nauhagar ye kiska janaza hai
rukh peet'te hai ro kar jibreel e ameen apna
ye kis ke janaze par padte hai nabi nauha
zehra bhi hai nange sar ye kiska janaza hai
ek hashr ka hai manzar...
mastoor ho ya bacche rote hai bilakte hai
zainab ki fughan sun kar kaunain larazte hai
rote hai lahoo sarwar ye kiska janaza hai
ek hashr ka hai manzar...
abbas ki haalat ka kis tarha bayan hoga
kulsoom ka dil ab to qaabu mein nahi aata
sar peet'te hai shabbar ye kiska janaza hai
ek hashr ka hai manzar...
ay kul ke maseeha yun chode na hamein tanha
murghabiyan padti hai ro ro ke yehi nauha
pur dard hai ye manzar ye kiska janaza hai
ek hashr ka hai manzar...
kohraam hai kufe mein bewaon ke naale hai
honton pe yateemon ke faryadon ke chaale hai
hai sogh bapa ghar ghar ye kiska janaza hai
ek hashr ka hai manzar...
ye waqt e qayamat hai gehnaye hai sab taare
khursheed e falak apni tanveer sameinte hai
aur shak hai mahe anwar ye kiska janaza hai
ek hashr ka hai manzar...
quran tadapta hai tafseer tadapti hai
tanzeel hai nauhagar tehreer tadapti hai
jibreel bata aa kar ye kiska janaza hai
ek hashr ka hai manzar...
karti hai azaan girya rota hai musalla bhi
mehraab e talaatum mein majrooh hai sajda bhi
barsaata hai khoon mimbar ye kiska janaza hai
ek hashr ka hai manzar...
ay dayam o yazdan ek mehshar hai sar e kufa
har aankh mein hai aansu har lab pe hai ye nauha
bechain hai paighambar ye kiska janaza hai
ek hashr ka hai manzar...