Kanz e Aza

Yeh Karbala hai

A noha for Imam Hassan (a.s) (2017). Lyrics in Roman Urdu.

Yeh Karbala hai

Allahumm-ar-zuqna ziyarat al hussain..(2)

Fi fuaadi karbala, wan-nidai karbala

Karbala awaaz meri, dil mera hai karbala

karbala, karbala, karbala..(6)

Yaha'n sambhal kar qadam uthana


yeh karbala hai, yeh karbala hai..(2)


Yeh baat hargiz na bhul jaana


yeh karbala hai, yeh karbala hai


Karbala karabala karbala

1. Jahan e sabr o reza yehi hai

nida e  sabr o reza yehi hai

yaha'n pe aake hai chalke Mehdi(a.t.f.s)

Behisht e zahra ye sar zamee'n hai

yaha'n hai zahra ka aana jana


yeh karbala hai, yeh karbala hai


2. Duaein denge hussain tumko

yaha'n pe aansu agar bahaye

yaha'n pe beti ne bewatan ki

sitamgaro se tamache khaye

yaha'n pe khushiyo ko bhul jaana


yeh karbala hai, yeh karbala hai


3. Yaha'n pe guzri hai wo qayamat

mila na usko sukoon ab tak

ridaein chinne ke ghum mein abid

lahad mein rota hai khoon ab tak

yaha'n pe hargiz na muskurana


yeh karbala hai, yeh karbala hai


4. Yaha'n pe hurr bhi tha hurmala bhi

kitabe hasti ko padhke dekho

sada e halmin jo aa rahi hai

tum is taraf ho ya us taraf ho

tumhe amal se hai ab batana


yeh karbala hai, yeh karbala hai


5. Kahi'n pe qasim hue hai tukde

kahi'n pe zee'n se gire the maula

kahi'n sakina sumo se lipti

kahi'n pe asghar ne teer khaya

yahi'n ghareebi ka hai thikana


yeh karbala hai, yeh karbala hai


6. Sawari aayegi ek waha'n se

najaf ki janib nigaah rakhna

jab aaye shame ghariba'n jis dum

ali ko zainab ka pursa dena

tum aansuo ke diye jalana


yeh karbala hai, yeh karbala hai


7. Kisi ke dil mein lagi hai barchi

kisi ke baazu kate yehi par

haye ali ki beti ke kitne yusuf

lahu mein doobe hai is zamee'n par

luta hai sadaat ka gharana


yeh karbala hai, yeh karbala hai


8. Rahe kahi'n bhi jaha'n mein jakar

hussain wale ye jaante hai

hum ehle matam ke dil takallum

yaha'n ki mitti se hi bane hai

yaha'n hai wapas palatke aana


yeh karbala hai, yeh karbala hai