Alweda fatima Alweda Fatima
Haaye baad baba ke jo guzri wo musibat sunlo
Ya Ali (a.s) fatima Zehra (s.a) ki wasiyat sunlo
Aaj ruqsat ho rahi hai tumse Zehra (s.a) Ya Ali (a.s)
Pardae shab me meri mayyat uthaana Ya Ali (a.s)
Aaj ruqsat ho rahi hai tumse Zehra (s.a) Ya Ali (a.s)
1. Pasliyaa todi gayi kaise ye batlaungi mai
hashr k maidaa'n me bhi is haal me aaungi mai
hath pehlu se na tum mera hataana Ya Ali (a.s)
Aaj ruqsat ho rahi hai tumse Zehra (s.a) Ya Ali (a.s) (2)
2. Wo Musibat aapne accha hua dekhi nahi
Ab mai sedhe hath se tasbih padh sakti nahi
Aisa kunfus(l.a) ne hai maara taziyaana Ya Ali (a.s)
Aaj ruqsat ho rahi hai tumse Zehra (s.a) Ya Ali (a.s) (2)
3. Haaye..... Kehti hai Zainab (s.a) ye mujhse dekhkar chehra mera
Aap ke ruqsar par ye neel ye kaisa pada
are maine khaaya hai tamacha mat bataana ya Ali (a.s)
Aaj ruqsat ho rahi hai tumse Zehra (s.a) Ya Ali (a.s) (2)
4. Taziyaane ki aziyat ka uthaana ek taraf
wo tamaache qatle mohsin dar jalaana ek taraf
sab se mushkil tha magar darbaar jaana Ya Ali (a.s)
Aaj ruqsat ho rahi hai tumse Zehra (s.a) Ya Ali (a.s) (2)
5. jab meri talqeen padhna yaad karlena zara
dar ke girne se mera baazu bhi hai toota hua
mere shaano ko zara dheere hilaana Ya Ali (a.s)
Aaj ruqsat ho rahi hai tumse Zehra (s.a) Ya Ali (a.s) (2)
6. Haaaye ..... Chahe aajaye qayamat mujhse ye waada karo
jab talak moula mere shabbir ki marzi na ho
tab talak mera janaaza mat uthaana Ya Ali (a.s)
Aaj ruqsat ho rahi hai tumse Zehra (s.a) Ya Ali (a.s) (2)
7. Jab se aayi hoon palatkar fikr hai mujhko yahi
mai to parde me gayi phir bhi za'eefa hogai
berida darbaar hai Zainab (s.a) ko jaana Ya Ali (a.s)
Aaj ruqsat ho rahi hai tumse Zehra (s.a) Ya Ali (a.s) (2)
8. karbala me jab mere mazloom par khajar chale
Pyaas ke aalam me wo Ghazi ko jab aawaaz de
mai bhi aaongi waha par tum bhi aana Ya Ali (a.s)
Aaj ruqsat ho rahi hai tumse Zehra (s.a) Ya Ali (a.s) (2)
9. Hatj pehlu par rakhe boli takallum fatima
Mai dua karti hoon tum aameen kehdena zara
jald aaye mere mehdi ka zamaana Ya Ali (a.s)
Aaj ruqsat ho rahi hai tumse Zehra (s.a) Ya Ali (a.s) (2)