Kanz e Aza

Agar Hussain tera Gham

A noha for Imam Hussain (a.s) (2019). Lyrics in Roman Urdu.

Fatema Zehra, shukriya Zehra..(2)

Apne gham ko bhool gaya hu mai bakhuda, Sine se jab se maine lagaya ghame HUSSAIN, Kis muh se shukriya karu Zehra ka mai adaa, Unke sabab naseeb me aaya ghame HUSSAIN......

Tu salamat rahe..(2)

Hamesha ghame hussain

Kahan se gham ko uthane ka hausla aata


Agar Hussain tera gham na samne hota..(2)


1. Khudana khaasta aata kabhi jo ye mauqa Ke baap dekhta kadiyal jawaan ka laasha

To lash uthaa ne se pehle hi baap mar jaata....


Agar Hussain tera gham na samne hota..(2)


2. Ajeeb chahate hoti hai baap beti ki

Agar hussain ki beti na hausla deti To beti baap ki mayyat se kaise hoti judaa


Agar Hussain tera gham na samne hota..(2)


Jo ho gae shahid ghamee sheh ki raah mein

Unko liya HUSSAIN ne apni panah mein

Maaein ye boli beto ke laashe ko chum kar

Milna hame Imame Zama ki sipaah mein

3. Tumhare chaah ke karze chukaae hai maula Ke Maa ne beto ke laashe sajaein hai maula

Karaar kaise shahido ki maao ko aata


Agar Hussain tera gham na samne hota..(2)


4. Agar ye marsiye nauho me na suna hota Ke laashe ghaazi pe kis tarah tune sabr kiya

Toh gham me bhai ke bhai ka dam nikal jaata


Agar Hussain tera gham na samne hota..(2)


5. Wo Maa ka pehlu shikasta bhi tune dekha tha

Agar nazar me na hota bichadna Maa Se Tera

toh kaise maa ke janaze ko beta dafnata


Agar Hussain tera gham na samne hota..(2)


Ya Hussain..

6. Haye farhan o zille raza

Kaisa sabir tha maula mera

Sabr har gham pe karta raha

Zikr ho kaunse sabr ka

Nana ke jane pe


Tera Sabr maula..


Maa ke janaze pe


Tera Sabr maula..


Haye baba ke zakhmo pe


Tera Sabr maula..


Haan bhai ke marne pe


Tera Sabr maula..


Haye akbar ke seene pe


Tera Sabr maula..


Haan qaasim ke tukdo pe


Tera Sabr maula..


Masoom beti pe


Tera Sabr maula..


Haye asgar ki hichki pe


Tera Sabr maula..


Haan laashe Barabar pe


Tera Sabr maula..


Behno ki chadar pe


Tera Sabr maula..


Jalte hue ghar pe


Tera Sabr maula..


Lut te hue ghar pe


Tera Sabr maula..


HUSSAIN ya HUSSAIN..(3)

HUSSAIN ya HUSSAIN ya HUSSAIN ya Hussain