ahle haram………kartey hain buka…….. vavaila
tegh-e-sitam sayed ka gala……. vavaila
1. zainab-e-muztar kahti hai rokar
dekho pada hai jalti zami par
zehra ki godi ka pala vavaila . . .
2. mashq-e-sakina dil se lagaye
teer hazaro nehr pe khaye
ibn-e-ali bedast huva vavaila . . .
3. kehti hai sar ko peet ke laila
margaya mera zulfow wala
haaye mera dilbar na raha vavaila . . .
4. maang kisi ki youn na ujdey
laashaye qasim hogaya tukdey
luth gayi ek din mein kubra vavaila . . .
5. kaan hain zaqmi gaal hai soojhey
ghash hain sakina kha ke tamachey
dekh raha hain bhai khada vavaila . . .
6. zulm wo dhaaye shim-re-layi ne
marey gaye bimaar ko durrey
tauq-o-salasal mein jakda vavaila . . .
7. sajti hai sadiq farsh-e-aza jab
hota hai zikr-e-karbobala jab
aati hai jannat se zehra vavaila . . .