Kanz e Aza

Aisa Musafir Na Ayega

A noha for Imam Hussain (a.s), written by Rehaan Azmi. Lyrics in Roman Urdu.

mehman tera pyasa raha sookha gala kaata gaya

ay dashte karbala ay dashte karbala


bete shaheed ho gaye bhai juda hua

humse kisi ne ye bhi na poocha ke kya hua

aisa ghareeb aisa musafir na aayega

ay dashte karbala...


laashein utha utha ke kamar choor hogayi

jeene ki arzoo to bahot door ho gayi

akbar shaheed ho gaya mai sochta raha

humse kisi ne ye bhi na poocha ke kya hua

aisa ghareeb aisa musafir na aayega

ay dashte karbala...


baazu kata ke nehr pe abbas so gaya

hasrat se ahlebait ko mai dekhta raha

ab mere baad meri sakina ka hoga kya

humse kisi ne ye bhi na poocha ke kya hua

aisa ghareeb aisa musafir na aayega

ay dashte karbala...


ansaar e bawafa mere mujh par fida huye

tayghon ke moo ko unke galay choomte rahe

ek shab ka mehman tha hurr wo bhi mar gaya

humse kisi ne ye bhi na poocha ke kya hua

aisa ghareeb aisa musafir na aayega

ay dashte karbala...


qasim ki maut meri ghareebi pe royi hai

daulat hassan ki maine bayaban mein khoyi hai

qasim kahan hai dasht mein mai dhoondta raha

humse kisi ne ye bhi na poocha ke kya hua

aisa ghareeb aisa musafir na aayega

ay dashte karbala...


pyare thay mujhko jaan se zaianb ke laadle

wo aediyan ragad ke mera dil dukha gaye

laashon pe unki haye mai tanha khada raha

humse kisi ne ye bhi na poocha ke kya hua

aisa ghareeb aisa musafir na aayega

ay dashte karbala...


allah jaanta hai jo dil par guzar gayi

asghar ke baad jeene ki taaqat nahi rahi

wo phool mere haath pe murjha ke reh gaya

humse kisi ne ye bhi na poocha ke kya hua

aisa ghareeb aisa musafir na aayega

ay dashte karbala...


ek ek karke monis o yawar guzar gaye

jeete thay jinko dekh ke wo laal mar gaye

karta sawaar jo mujhe baaqi koi na tha

humse kisi ne ye bhi na poocha ke kya hua

aisa ghareeb aisa musafir na aayega

ay dashte karbala...


jab zeen se zamaan pe ya-rab gira tha mai

amma mere sirhane thi ghash mein pada tha mai

khanjar layeen galay pe mere phayrne laga

humse kisi ne ye bhi na poocha ke kya hua

aisa ghareeb aisa musafir na aayega

ay dashte karbala...


rehaan shaah e deen ne kaha rab e zuljalaal

zaahir hai tujhpe aale mohamed ka saara haal

jibreel hai gawah sar e maqtal e jafa

humse kisi ne ye bhi na poocha ke kya hua

aisa ghareeb aisa musafir na aayega

ay dashte karbala...