Kanz e Aza

Ajal Hussain ki

A noha written by Rehaan Azmi. Lyrics in Roman Urdu.

hussainiyo ye tum pe hogaya laazim jo tum hussaini ho

ajal hussain ki surat jiyo ali ki tarha


hussainyo ye tumhe karbala bataati hai

jo qaum apne shaheedon ko bhool jaati hai

qadam qadam pe ajal se fareb khaati hai

phir aisi qaum ki qismat mein be-sabaati hai

hussainyo karo jo pairawi to hurr ki pairawi ki tarha

ajal hussain ki surat...


koi hussaini kabhi maut se nahi darta

ali ka naam kabhi be-sukoon nahi karta

ali ke bughz ka jo zakhm hai nahi bharta

ali ka maan'ne waala kabhi nahi marta

hussainyo jo inpe marta hai wo hai shaheed hi ki tarha

ajal hussain ki surat...


ali ke bacchon ko jo maut se daraata hai

wo apni fikre najis se fareb khaata hai

ali ki raah se jo bhi qadam hataata hai

nabi ka beta bhi toofan mein doob jaata hai

hussainyo nabi ke bete agar ho raho nabi ki tarha

ajal hussain ki surat...


ali ke jeene ka andaaz kia niraala hai

ali ne maut ko bhi rizq de ke paala hai

khuda ke ghar mein shahadat bada hawala hai

ali ne maut ko bhi mushkilon mein daala hai

hussainyo hassan hussain bhi zinda rahe inhi ki tarha

ajal hussain ki surat...


jo haq parast hai wo sab ghulame hyder hai

nazar mein badr o ohad ke tamaam manzar hai

jo haq parast nahi buzdilaan e khyber hai

jo haq parast hai unke jale huwe ghar hai

hussainyo sha'oor e haq ki zaroorat hai qambari ki tarha

ajal hussain ki surat...


inhi ke dar pe ajal aa ke ho gayi majboor

hayaat o maut ka banta hai inke ghar manshoor

inhi ke laal banate hai sabr ka dastoor

munafiqat hai hamesha dar e hussain se door

hussainyo huqooq rakhte hai saare ye daawari ki tarha

ajal hussain ki surat...


sanad ghulami ki de de to khuld mil jaaye

ye muskuraye to murjhaya phool khil jaaye

zameen ko ghaiz se dekhe falak bhi hil jaaye

yahan se maangne dhadkan nabi ka dil jaaye

hussainyo kareem sab hai yahan rab e akbari ki tarha

ajal hussain ki surat...


ali se zindagi qaatil ali ka kya cheene

ke jaam e shireen jisay daste hyderi se mile

ali ne neend se bedaar kar diya ho jisay

ali se zindagi wo cheenta bhala kaise

hussainyo ajal pe kaun gira dehr mein ali ki tarha

ajal hussain ki surat...


ye kaun jaata hai marne lahoo lahoo hai badan

faras ke dosh pe suraj ki jaa rahi hai kiran

jalaal kehta hai ye shakhs to hai maut shikan

tadap rahi hai dar e qaima pe ye kis ki behan

hussainyo ye kayenat larazti hai sarsari ki tarha

ajal hussain ki surat...


ye kis ke halq pe ruk ruk ke taygh chalti hai

hayaat roti hai aur maut haath malti hai

zameen e garm se ek aag si nikalti hai

ye kis ki maa hai jo girti hai aur sambhalti hai

hussainyo ye kayenat pe chalti hai kya churi ki tarha

ajal hussain ki surat...


hayaat o maut ka ye falsafa diya kis ne

ajal ka jaam khuda ke liye piya kis ne

ye marhala tha kathan tay magar kiya kis ne

rehaan azmi mar ke bata diya kis ne

hussainyo hayaat o maut hai be-sar hussain hi ki tarha

ajal hussain ki surat...