ajeeb hai daastane gham ajeeb hai
nabi ki itrat pe ye sitam ajeeb hai
bhoolne waali baat nahi thi
ghar ghar iska charcha tha
ye to kal ki baat thi khud apni
aankhon se dekha tha
maulai ka kaad nabi ne
qum mein isko ata kiya
ajeeb hai daastane…
ek hi noor ke do tukde hai
ek mohamed ek ali
dono hai mehboobe elaahi
dono ko meraj hui
ek ko haq ne kar diya zaahir
ek parde mein chupa diya
ajeeb hai daastane…
zindabad ay jazba e matam
mehnat ab rang laayi hai
chauda sau saala nafrat
ab khul kar saamne aayi hai
aaj yazeediyat ne parda
rukh se apne hata diya
ajeeb hai daastane…
tehr nahi sakte thay baghair
izn farishte jis dar par
naqshe nishane paaye mohamed
saqt thay jis ki chaukat par
waaye musalmano ho tum par
tumne wo dar jala diya
ajeeb hai daastane…
haaton mein hai shimr ke khanjar
zaanu ke neeche hai hussain
qaime ke dar par karti hai
zainab sar kholay hue bain
baba ab tum kab aaoge
bhai ka kat'ta hai gala
ajeeb hai daastane…
sar ko tan se juda kiya
sar chada diya phir naize par
laashon par ghode daudaye
bujhi na dil ki aag magar
kalma-goyo ne khud apne
nabi ke ghar ko jala diya
ajeeb hai daastane…
aise mein ek bachi nikli
qaimon se ghabrayi hui
khoon tapakta tha kano se
rukh pe yateemi chaayi hui
kaamp rahi thi khauf se wo
aur shimr tamache maarta tha
ajeeb hai daastane…
daaman mein thi aag lagi aur
suye najaf tha rukh uska
roti thi chillati thi
geh deti thi baba ko sada
rooth gaye kyon aap sakina se
baba kya ki thi khata
ajeeb hai daastane…
bain sakina ke sun sun kar
thar'rati thi laashe hussain
saahil par ek laasha
uth uth padta tha hokar bechain
aati thi reh reh ke sada jab
aajao aajao chacha
ajeeb hai daastane…