alvida maula ali alvida maula ali
ja raha hai aaj dunya se mohamed ka wasi
naale e jibreel se larze zameen o aasman
haye wo maara gaya jo hai imame ins o jaan
sajde e haq mein hai zarbat farqe haider par lagi
alvida maula ali...
baap ke qadmon se lipti ro rahi hai betiyan
kya kare kya keh ke de inko tasalli mujtaba
mar na jaye baap ki mayyat pe ro ro kar abhi
alvida maula ali...
dhoondti hai tum ko zainab ki nigahein har jagah
sayyeda aa kar dilaasa dijiye inko zara
farte gham se hai ajab haalat idhar kulsoom ki
alvida maula ali...
baba tum hi thay sahara baad e binte mustafa
gham abhi taaza tha dil mein maadare dilgeer ka
bas yateemon ki tarha guzregi ab ye zindagi
alvida maula ali...
baap ki tarha yateemon ka jo rakhta tha khayal
us ke gham mein ho rahe hai haye wo bacche nidhal
aaj kufe ke yateemon mein ajab hai bekali
alvida maula ali...
murtaza ghar mein jo aaye bas usi hangaam mein
betiyan aa kar jo lipti to usi kohraam mein
ek nanhi si yateema yaad mujhko aa gayi
alvida maula ali...
baad tere zulm ye bhi hum pe dhayenge layeen
teer shabbar ke janaze par chalayenge layeen
kis tarha ghazi ko rokungi bhala mai us ghadi
alvida maula ali...
ab tumhare baad sajne hi ko hai karbobala
pa barehna haath bandwaye huwe aur berida
kis tarha guzregi baazaron se teri laadli
alvida maula ali...
teen din ki pyaas aur wo kund khanjar shimr ka
kis tarha dekhungi baba tum hi batlao zara
chal rahi hogi gulu e shaah par jis dam churi
alvida maula ali...
baap se lipti hui kehti thi zianab baar baar
baab e saa’at par karungi aap ka mai intezar
shaam ki fatha ka manzar dekhna aa kar ali
alvida maula ali...