Kanz e Aza

Alwida Zainab

A noha for Imam Ali (a.s), written by Afraz Jafri. Lyrics in Roman Urdu.

zakhmi baba ki ghar mein jab aamad hui

binte zahra yun faryad karne lagi

haye baba mai pardes mein lut gayi

to laadli se mukhatib huwe yun ali

meri pyari zainab meri pyari zainab


bole ali ye ro kar mehman hai lamhon ka

zainab tumhara baba


baba se karo baatein na laut ke aayega

zainab tumhara baba


hoga qadam qadam par majma e aam beti

karbobala se kufa kufa se shaam beti

aayega hausla wahan karne buland tera

zainab tumhara baba

bole ali ye ro kar...


is waaste hi maine bulwaya tum ko kufa

haathon se tum sajao khud baap ka janaza

lagni thi zarb mere pehle hi jaanta tha

zainab tumhara baba

bole ali ye ro kar...


mujhe dekhna jo chaaha bhai ko dekh lena

har ek apni mushkil abbas ko batana

abbas ki surat mein maujood hi rahega

zainab tumhara baba

bole ali ye ro kar...


shaam e ghariban mein tum pehre pe khadi hogi

na beta hoga koi na saath koi bhai

maqtal mein tum se milne phir aayega dobara

zainab tumhara baba

bole ali ye ro kar...


ek baar aake seene lag jao aao beti

mumkin hai aisa mauqa tum phir na pao beti

shayad ke ye taqaza kar paaye na dobara

zainab tumhara baba

bole ali ye ro kar...


jis waqt ghar se nikle mera janaza zainab

tum ho shabihe zahra baahar na aana zainab

dekhe jo koi tum ko kaise kare gawara

zainab tumhara baba

bole ali ye ro kar...


afraz o shadman ye beti se bole maula

ruqsat ki ye ghadi hai mera hai tum se waada

har ek qadam pe beti tere saath saath hoga

zainab tumhara baba

bole ali ye ro kar...


hai zakhm bohat gehra ab jee nahi payega

zainab tumhara baba

alwida zainab alwida zainab

alwida alwida alwida zainab