zainab ka tha nauha baba mere baba
mai zainab hoon pehchano zara
aankhein kholo zakhmi baba
kyun sunte nahi beti ki sada
aankhein kholo zakhmi baba
hazrat ka musalla hai khaali
kya subha qayamat laayi hai
suraj ko jagaate thay tum to
ab neend ye kaisi aayi hai
mai kab se hilaati hoon shaana
aankhein kholo zakhmi baba
mai zainab hoon...
qurban mai uski ghairat ke
khamosh tumhara beta hai
dehleez pe hujre ki kab se
sar apna jhukaye baitha hai
abbas pe jaari hai sakta
aankhein kholo zakhmi baba
mai zainab hoon...
logon ke dilon mein aaj talak
sab badr o ohad ke keena hai
amma bhi nahi ab tum bhi nahi
phir kis ke sahare jeena hai
yun chod ke mat jao tanha
aankhein kholo zakhmi baba
mai zainab hoon...
ek baar utho in se poocho
baaghi to nahi bolenge mujhe
bin aap ke jab mai aaungi
pathar to nahi maarenge mujhe
in kufiyon se lelo waada
aankhein kholo zakhmi baba
mai zainab hoon...
shaano ko choom ke kehte thay
be-rehm zamana hai zainab
khamosh huwe itna keh kar
darbar mein jaana hai zainab
tafseel bata do aur zara
aankhein kholo zakhmi baba
mai zainab hoon...
amma ki niyabat karti hoon
mai bhooli nahi hoon mansab ko
maloom hai ghairat daar ho tum
parde ka khayal hai zainab ko
maujood hai mere sar pe rida
aankhein kholo zakhmi baba
mai zainab hoon...
kya likhun janaze ka manzar
ek hashr takallum tha har soo
aankhein to na kholi zer e kafan
aankhon se nikalte thay aansu
taboot pe jab beti ne kaha
aankhein kholo zakhmi baba
mai zainab hoon...