Kanz e Aza

Baba Mai Teri Zainab

A noha for Imam Ali (a.s), written by Mir Takallum. Lyrics in Roman Urdu.

haye ali haye haye zainab


ghar se jab hyder e safdar ka janaza utha

sun ke hasnain bhi rone lage zainab ki sada

baba mere baba mai teri zainab hoon


aakhri baar kaleje se lagao baba

baba mai teri zainab hoon


tod kar bande kafan mujhko bulao baba

baba mai teri zainab hoon


kya gawara hai tumhe sar se hataun chadar

bolo kyun chup ho padar

mujhse baatein karo yun moo na chupao baba

baba mai teri zainab hoon

aakhri baar kaleje se...


mai bhala kaise judaai ka uthaungi ye gham

aap ko maa ki qasam

doosri baar yateemi se bachao baba

baba mai teri zainab hoon

aakhri baar kaleje se...


hukm tha aap ka zainab se chupa kar rakhna

kuch na isay kehna

ab to jaate huwe wo zakhm dikhao baba

baba mai teri zainab hoon

aakhri baar kaleje se...


kaun jannat ke manga kar mujhe ab dega libaas

eid bhi aagayi paas

ab mai zid kis se karungi ye batao baba

baba mai teri zainab hoon

aakhri baar kaleje se...


tum ne amma ki shahadat pe tasalli di thi

abhi zinda hai ali

ab mujhe kaun sambhalega batao baba

baba mai teri zainab hoon

aakhri baar kaleje se...


tanha milne ke liye tum se kabhi aa na sake

qabr par jaa na sake

is qadar door to basti na basao baba

baba mai teri zainab hoon

aakhri baar kaleje se...


aap ke baad bhi is tarha wafadaar rahe

sang baari na kare

kufiyon se zara kehte huwe jao baba

baba mai teri zainab hoon

aakhri baar kaleje se...


baap ko is ne takallum na di awaaz kabhi

sirf ashoor ko di

mai hoon muhskil mein najaf chod ke aao baba

baba mai teri zainab hoon

aakhri baar kaleje se...