Kanz e Aza

Baba Na Jaaiye

A noha for Imam Ali (a.s), written by Yasir Abbas. Lyrics in Roman Urdu.

baba na jaaiye baba na jaaiye


zainab ki ye buka hai khudara na jaaiye

hum ko jahan may chod ke tanha na jaaiye


beti lipat ke baap ki mayyat se ro padi

kehne lagi ke aap ke bin kya hai zindagi

hum ko bahot satayegi dunya na jaaiye

zainab ki ye buka hai...


sadmaat sab ali ke kafan may ayaan huwe

mayyat ki band aankh se aansu rawan huwe

beti ne itne karb se bola na jaaiye

zainab ki ye buka hai...


hyder ke dar pe doodh ke pyale liye huwe

kufe ke har yateem ne naale yehi kiye

maula na jaaiye mere maula na jaaiye

zainab ki ye buka hai...


bachon ko mere kaun sambhalega murtaza

arz e baqi pe dard bhari hai yehi sada

boli tadap ke fatema zehra na jaaiye

zainab ki ye buka hai...


kulsoom aur zainab e muztar ki hai sada

abbas e naamdaar ke lab par hai ilteja

koi nahi hai aap ke jaisa na jaaiye

zainab ki ye buka hai...


zarbat ki subh qayamat e kubra se kam na thi

dar par ali ne phaila qadam bhi rakha abhi

murghabiyo ne shor machaya na jaaiye

zainab ki ye buka hai...


yasir ye ajre haq hai imamat ki hai azan

maula imam e waqt ki aati hai ye sada

sajid suna ali ka ye nauha na jaaiye

zainab ki ye buka hai...