farshe aza e sheh ki azaan ya hussain hai
yani khuda jahan hai wahan ya hussain hai
shabbiriyat milegi khuda ki asaas mein
ghamkhwar jaante hai ye kaale libaas mein
kaabe ke bhi labon ka bayan ya hussain hai
farshe aza e sheh ki...
qurbat mein jab nijaat ka aaya tha marhala
bole malayeka hai amal koi to bata
maine ye keh diya tha ke haan ya hussain hai
farshe aza e sheh ki...
har saans keh rahi hai ke tujh par salaam hai
tu jannati hai tujhpe jahannam haram hai
teri to zindagi mein rawayan ya hussain hai
farshe aza e sheh ki...
karbobala ke baad hai ye bhi to maujiza
hota jahan jahan tha mere rab ka tazkira
har us jagah pe wirde zaban ya hussain hai
farshe aza e sheh ki...
ashoor aaj bhi hai wahin par ruki hui
gardan jahan hussain ki sookhi hui kati
zehra wahin pe nauha kuna ya hussain hai
farshe aza e sheh ki...
mushkil kusha ke aur payambar ke bain hai
haye hussain khaaliq e akbar ke bain hai
dono jahan mein aah o fughan ya hussain hai
farshe aza e sheh ki...
yasir ye keh rahe hai sar e arsh ambiya
farshe azaa pe bhej de hum ko bhi ay khuda
muslim ke aaj lab pe wahan ya hussain hai
farshe aza e sheh ki...