Kanz e Aza

farwa ka laal ran me tukdou me batgaya hai

A noha for Qasim (a.s), recited by Anjuman e Masoomeen. Lyrics in Roman Urdu.

farwa ka laal ran me tukdou me batgaya hai

fizza pukari zainab masnad bichaao aakar

bachoun ka sog bibi kuch to badhao aqir

dulha dulhan se milne qaime me aa raha hai


masnad pe shaahe dee'n jo tukde jama rahe hai

tukdo me batgaya jo lasha utha rahe hai

hai khoon bhara ye manzar kya saqt marhala hai

laasha ki ja hai dekho tukde badan ke bikhre


kubra dulhan ko koi aakar zara sambhale

gulgoo'n badan hasan ka maqtal se aa raha hai

kya dard ka hai manzar dekhegi kaise kubra

pamaal ho ke aya ibne hassan ka laasha


sheeri'n suqan ka chehra kya jagmaga raha hai