gayi darbaar me zainab qayamat kyu nahi aayi
mohammad ke gharaane par bada gham hai zamaane par
kata sajde me sheh ka sar jale qaime chini chadar
ta'ajjub hai yahi har dam yateeme shaah ko paiham
hai ab tak fikr uljhan me sakina teri gardan me
rasan baandhi gayi thi jab
salasal touq me jakda imaam ahista ahista
sare darbaar pohancha jab
khule bazaarou me ya rab bhare darbarou me ya rab
tamaasha ban gayi zainab
laee'n baitha hai masnad par hai niche shaahe dee'n ka sar
chadi ki zad pa sheh ke lab
ali ki ghamzada dukhtar rasan basta ba rehna sar
bhara darbaar aur zainab