Kanz e Aza

Ghazi ki Behan Zainab Islam Bachanay Aayi Hay

A noha for Shehzadi Zainab (s.a). Lyrics in Roman Urdu.

Sohye Howay Gairat Ummat Ki Khutbon Say Jaganay Aayi Hay.


Allah Ka Ghar Shabbir Ka Ghar Ya Deen-e-Khuda Ya Apni Rida

Kuch Hay Jo Bachanay Aaye Hay Kuch Hay Jo Lutanay Aayi Hay.


Shabbir Nay Jaltay Sehra Main Shah Rag Kay Kahoo Say Jo Likhi

Us Soorah-e-kausar Ki Zainab Tafseer Batanay Aayi Hay.


Paband-e-rasan Saar Bay Chadar Ya Fateh Khaiber Ki Dukhtar

Lagta Hay Kay Kasar-e-Ummaya Ki Bunyad Hilanay Aayi Hay.


Allah Say Razi Banday Nay Jo Taigh Talay Saar Rakh Kay Kiya

Us Sajda-e-akhir Ki Zainab Touqeer Barhanay Aayi Hay.


Akbar Ko Chupa Kar Pala Tha Jis Tarhay Abba Kay Daman Main

Darbar Main Youn Apnay Pechay Beemar Chupanay Aayi Hay.


Har Rastay Main Har Manzil Par Balon Say Liya Parda Abid

Wo Alay Nabi Ki Hurmat Ka Ehsas Dilanay Aayi Hay.