Kanz e Aza

Ghazi Ko Bachpane Me

A noha for Hazrat Abbas (a.s) (2005). Lyrics in Roman Urdu.

Ghazi ko bachpane mei

(Mere beta abbas) x3

Madine me eik raat ummul baneen bete ko lori sunarahi hai


Abbas abbas abbas abbas


Ghazi ko bachpane me maa ye sabak parhaye


Abbas abbas abbas abbas, Ghazi ko bachpane me maa ye sabak parhaye


(Tere bazuo(n) ke hote) x2 Zainab na gham uthaye


Abbas abbas abbas abbas, Ghazi ko bachpane me maa ye sabak parhaye


Haider ki zawjiyat me jis din se hu mein aayi

Unke labo ke mene bas ye duwa hai paayi

Ya rab wo laal de jo zainab ke kaam aaye


Abbas abbas abbas abbas, Ghazi ko bachpane me maa ye sabak parhaye


Maana ke tu banega salaar-o-meer lashkar Lekin hussain ka tu bankar rahenga nokar

Itna khayal rakhna sar maa ka jhuk na jaaye


Abbas abbas abbas abbas, Ghazi ko bachpane me maa ye sabak parhaye


Aka hussain ko tum bhayi kabhi naa kehna

Jab tak hain saas baaqi bankar gulam rehna

Meri dua hai tumko sakaayi raas aaye


Abbas abbas abbas abbas, Ghazi ko bachpane me maa ye sabak parhaye


Mein hu kaneez-e-zehra fizza se phir bhi kam hu

Ye soch soch kar me bas mubtilaa-e-gham hu

Tere sabab se beta zehra na ruth jaaye


Abbas abbas abbas abbas, Ghazi ko bachpane me maa ye sabak parhaye


Ye ghar hai sayyeda ka is ghar ki shaan parda

Is ghar ki betiyo ko suraj na dekh paaya

Shahzadiyo sar tak teri nazar naa jaaye


Abbas abbas abbas abbas, Ghazi ko bachpane me maa ye sabak parhaye


Ab karbala ka manzar raavi ne yu(n) likha hai

Abbas foj-e-sheh ka salaar bangaya hai

Kiski majaal hai jo sheh se nazar milaaye


Abbas abbas abbas abbas, Ghazi ko bachpane me maa ye sabak parhaye


Ashur ko hai tooti pyaaso pe kya qayamat

Larne ke milna paayi jarrar ko ijaazat

Abbas ja rahe hai mashko alam uthaaye


Abbas abbas abbas abbas, Ghazi ko bachpane me maa ye sabak parhaye


Ghazi ke raaste par nazre hai bibio(n) ki Aur hai dua musalsal zainab ke ye labo(n) ki

Meri rida ka zamin ay kaash lawt aaye


Abbas abbas abbas abbas, Ghazi ko bachpane me maa ye sabak parhaye


"Rehan azmi" jab be dast ho ke ghazi

Maqtal me girgaya tha reyti pe karbala ki

Madar ki wo nasihat ghazi ko yaad aaye


Abbas abbas abbas abbas