Kanz e Aza

Haan Mai Abbas Hoo

A noha for Moula Abbas (a.s), written by Mazhar Abidi (2026). Lyrics in Roman Urdu.

hasab nasab mein hoon la saani

mashk o alam hai meri nishani

hai mere shaano mein bhi quwwate yazdani

agar karun darya ko ishara

qaimon mein aa jaaye wo saara

mere isharon par chalta hai darya ka pani

lo jaan lo mujhko pehchan lo mujhko


haan mai abbas hoon abbas

ayyohan naas ayyohan naas

haan mai abbas hoon

haan mai abbas


sun lo ye ta’aruf mera

mai beta hoon hyder ka

saqqa e sakina mujhko

kehti hai ye saari dunya

mai baazu e sarwar hoon

ghairat ka samandar hoon

khud zaat mein lashkar hoon

ayyohan naas ayyohan naas

haan mai abbas hoon...


jab ghaiz mein waar karunga

aisi yalghaar karunga

ek laash ke do do tukde

phir do ke chaar karunga

mohlat hai sambhal jao

kasrat pe na itrao

mat sher se takrao

salar hoon jarrar hoon jeedaar hoon mai

haan mai abbas hoon abbas


maine jo khat khaynch diya hai paar karun to jaanun

mujhse aa kar aankh milao phir mai tum ko maanun

sabaq wohi siffeen ka tum ko phir se yaad dilaun

palat ke dharti ulat ke darya tum ko ghaiz dikhaun


ye taygh ye khanjar kya hai

bas dekh lo tewar kya hai

pairon se masal doon dharti

nau laakh ka lashkar kya hai

sar tan se uda dunga

mitti mein mila dunga

ek hashr macha dunga

ayyohan naas ayyohan naas

haan mai abbas hoon...


mai cheen ke tum se darya

bhar loonga abhi mashkeeza

tum dekhte reh jaoge

na rok sakoge rasta

jo keh doon wo karta hoon

kab maut se mai darta hoon

har baar yehi kehta hoon

ayyohan naas ayyohan naas

haan mai abbas hoon...


jab mashk chidi pyason ki

aur beh gaya saara pani

ghazi ne kata ke baazu

tareekh wafa ki likh di

shabbir jo laashe par

pahunche to suna aakar

jumle thay yehi lab par

haan mai abbas hoon...


ek aankh mein teer laga tha

shabbir ne jab wo nikala

zaanu pe rakha jab sar ko

ghazi ne kiya ye nauha

aankhon mein sakina ka

chehra hai mere aaqa

ab kaise ye bolunga

ayyohan naas ayyohan naas

haan mai abbas hoon...


wo sher wafa ka paikar

jab qatl hua darya par

karti thi tadap kar zainab

ye bain hi meesum o mazhar

ho jaungi jab tanha

tab khoon rulayega

ay bhai tera kehna

ayyohan naas ayyohan naas

haan mai abbas hoon...