HAAYE GAAZI BHAI GAAZI
HAAYE ZAINAB YEH RO KE KEHTI THI
NEHAR PAR SOGAYA MERA GAAZI
1. Pass Akber Ke Bhai Ka Jaana
Har Khadam Run Me Thokare Khana
Kaise Bhulungi Bekasi Ki Ghadi
2.Aaye Mere Laal Yeh Na Tha Maloom
Qatl Hota Hai Tujhsa Bhi Masoom
Banu Khe Khe Ke Run Me Roti Thi
3.Asr-e-Aashoor Ek Qayamath Thi
Bosah Gah-e-Nabi Jo Katne Laagi
Bebasi Se Main Dekhti Hi Rahi
4.Baad-e-Shabbir Kaisi Shaam Howi
Aag Qaimou Me Har Taraf Pheli Aur Sakina Tamache Khati Rahi
5.Ek Bimar Jab Bana Qaidi
Julm Ki Inteha Thi Kuch Aisi
Tauq Gardan Me Paoun Me Bedhi
6.Jab Madine Se Main Chali Thi Akhi
Shaan Thi Kya Meri Aamari Ki
Aj Bazu Main Hai Bandhi Rassi
7.Jab Koi Sadqa Phekta Hum Par Aur Kahin Se Jab Aatey They Phattar
Yaad Karke Main Bhai Ku Tadhpi
8.Haaye Darbar-e-Shaam Ka Manzar
Dekhti Rehgayi Jisay Khahar
Sheh Ke Hotou Pe Julm Tha Jaari
9.Julm Har Ek Naya Howa Hum Par
Sabke Sar Se Utar Gayi Chadar
Haaye Kya Kya Musibate Todhti
10.Qaid Khane Me Ek Hashr Howa
Jab Sakina Ne Ro Ke Di Yeh Sada
frKhwab Me Baba Aaye Mere Abhi
11.Jo Tha Farzand-e-Sakhi-e-Kausar
Julm Paryez Yeh Howa Us Par
Usku Umaath Ne Na Diya Pani