Kanz e Aza

Haaye gareeb

A noha (2016). Lyrics in Roman Urdu.

Haaye ghareeb, haaye ghareeb..(2)

Ya rabb, ya rabb, ya rabb..(2)

ya rabb kisi ghareeb ka aisa safar na ho..(2)

barbaadiyo ke waaste..(2) awaaz gar na ho

1. Tayaara saajo sabke liye umr bhar raha

sehra ko jisne khoon se sayraab kardiya

laasha pada ho dhoop mein..(2) koi shajar na ho


ya rabb kisi..(2)


2. Zakhme sina laga to kaleja ulat gaya

akbar ne apne paalne wale ko di sadaa

baba meri phuphi ko..(2) kahin ye khabar na ho


ya rabb kisi..(2)


3. baba ne jiske haatho pe khaiber utha liya

bhai ne jiske mashk mein darya samo liya

kaandhe pe uske laashaye..(2) noore nazar na ho


ya rabb kisi..(2)


4. Har imtehaan sabr se zainab ne seh liya lekin dayare shaam mein karti rahi dua

athara bhaiyo ki..(2) behan nange sar na ho


ya rabb kisi..(2)


5. Dada ka ye sharaf ke hai maula e kayenaat aur baap baat ta raha maqtal mein bhi hayaat

kaano me us yateema ke..(2) haye haye gohar na ho


ya rabb kisi..(2)


6. Karbobala mein, kufe mein, bazaar e shaam mein

be parda sar jhukaye ho darbaar e aam mein

kunba kisi ghareeb ka..(2) yu darr ba darr na ho


ya rabb kisi..(2)


7. Zainab se sheh ne jab shabe ashoor ye kaha

kal subha tumse hona hai humko bahan juda

wo boli aisi raat ki..(2) ya rabb sahar na ho


ya rabb kisi..(2)


8. Asghar ko dafn karke ye shabbir ne kaha

paani ke badle rann mein lahu tera beh gaya

asghar dua ye kar teri..(2) maa aaj ghar na ho


ya rabb kisi..(2)


9. Aati yehi dua hai mere lab pe rozo shab

safdar se khush ho aale nabi aur unka rabb

mazloom se to pyaar ho..(2) zalim ka darr na ho


ya rabb kisi..(2)