Kanz e Aza

Jannat hai karbala

A noha (2016). Lyrics in Roman Urdu.

Jannat hai karbala

Hussain hussain hussain..(4)


Aate hai zaereen karbobala

haatho'n me leke mishaale wafa

maatami hai ab yaume wila

kaale libaas aur shaale azaa

lab pe sajaye hue ye sadaa


jannat hai roza tera, jannat hai puri ye karbobala

ae wallah ae wallah husaina


Rasulallah(s.a.w.w.) farmate hai:

"Karbala ki zameen, jannat ke teelo'n me se ek teela hai."


karbala jannat hai karbala, wallah

karbala jannat hai karbala

salam husain ya husaina..(2), yabn-ar-rasool ya husaina

salam husain ya husaina..(2), yabn-az-zahra ya husaina


1. Aaye ziyarat ko hum, ae wallah

khaate hai teri qasam, ae wallah

matam ye hoga na kam, ae wallah

aankhein rahegi ye nam, ae wallah


Imam Jafare Sadiq (a.s.) farmate hai:

" Jis shakhs ko allah khair ataa karna chahta hai uske dil me qabre imam hussain ki shauq daalta hai"

2. Shauqe ziyarat jo tha, ae wallah

maula mai paidal chala, ae wallah


khwab ye pura hua, ae wallah

dekha haram to kaha, ae wallah

3. Pani tere shehr ka, ae wallah

kausar se meetha laga, ae wallah


uski hawa hai dawa, ae wallah

khaak hai khaak e shifa, ae wallah

4. Jaaye jahan bhi nazar, ae wallah

aaye nazar sar hi sar, ae wallah


qudsi wali ya bashar, ae wallah

hai ye sadaa humsafar, ae wallah

Jab hum bainul harmain pohochte hai to jaagta hai dil me ye ehsaas

ek taraf roza e hussain ek taraf roza e abbas


ye jannat nahi to aur kya hai

Bainul haramain..(4)

5. Ek taraf darr tera, ae wallah

ek taraf bawafa, ae wallah


do jannato ki hawa, ae wallah

ashk huwe lab kusha, ae wallah

6. Roze ka husn hai kya, ae wallah

gumbad arsh e khuda, ae wallah


fanoos  shams uz zoha, ae wallah

meenar auj e wafa, ae wallah

aaraish e bamodarr, ae wallah

seera ho jisse nazar, ae wallah


nazm hai deewar par, ae wallah

jaise ke shams o qamar, ae wallah

Haaye qateel e jafaa

tu yaha pyaasa raha


mujhko sare karbala

koi na pyaasa mila..(2)

7. Ae mere tashna dahan, ae wallah

tu to raha be kafan, ae wallah


jaate hai log watan, ae wallah

leke yahan se kafan, ae wallah

8. Haaye shah e karbala

Haaye qateel e jafaa


zaero pe tere ek wo waqt tha

haath payro'n ko katwa ke bhi ba khuda

tere roze pe aate the ehle azaa

8. Tujh pe fida kardiye, ae wallah


maao'n ne haste huwe, ae wallah

ghar me the jitne diye, ae wallah

bus yahi kehte huwe, ae wallah

9. Farhan o mazhar kaho, ae wallah


duniya ko paigham do, ae wallah

roza e sheh pe chalo, ae wallah aur yahi kehte raho, ae wallah


jannat hai roza tera, jannat hai puri ye karbobala

ae wallah ae wallah husaina

karbala jannat hai karbala, wallah

karbala jannat hai karbala

salam husain ya husaina..(2), yabn-ar-rasool ya husaina

salam husain ya husaina..(2), yabn-az-zahra ya husaina

Hussain hussain hussain..(2)