Kanz e Aza

La hawla wala quwwata illa billah

A manqabat written by Mir Hassan Mir (2016). Lyrics in Roman Urdu.

La hawla wala quwwata illa billah


Allah.. Allah.. Allah...(6)


La hawla wala quwwata illa billah..(4)


Mai aur karu..

mai aur karu dushmane haider ki sanaa


La hawla wala quwwata illa billah..(4)


Daulat ke liye phir gaye haqq se aksar..(2)

tum dushmane shabbir ho laanat tumpar

hurr shaam ke lashkar se ye kehkar nikla


La hawla wala quwwata illa billah..(2)


Haider ki wilayat pe jo shak karta hai..(2)

Eeman hai mera ke wo jab marta hai

padhti hai ajal dekhke uska chehra


La hawla wala quwwata illa billah..(2)


Aale abu sufiyan se hamdardi hai..(2)

aye duniya adawat ki bhi hadd hoti hai

kafir abu talib hai to islam hai kya


La hawla wala quwwata illa billah..(2)


Tu meri kahi baat pe shak karta hai..(2)

Allah ke bande ko khuda kehta hai

Ye kehke..(2)

ye kehke nusairi ko ali ne maara


La hawla wala quwwata illa billah..(2)


Eeman o aqeede ki durusti kar le..(2)

Hai shakl buri baat to acchi kar le

kehta hai Mohammad ko tu apne jaisa


La hawla wala quwwata illa billah..(2)


Takrane lagi..(2)

Takrane lagi koofe se faujein jaake

sheh ne kiye is tarha se 17 hamle

har hamle pe kehta raha ibn e zahra


La hawla wala quwwata illa billah..(2)


Mat ye kaho iblees ke jaise honge..(2)

socho to zara log wo kaise honge

iblees jinhe dekhke padhta hoga


La hawla wala quwwata illa billah..(2)


Bachna....

Bachna aye takallum ye maraz hai moozi..(2)

hai saamne aankho ke misaale kitni

shaitan bana deta hai shohrat ka nasha


La hawla wala quwwata illa billah..(4)