Kanz e Aza

Ali ke baba ka

A manqabat written by Mir Hassan Mir (2015). Lyrics in Roman Urdu.

Ali ali ali ali ali ali..(2)

ali ke baba ka..(10)


Kya bataaoon aapko, kya kya abu talib ka hai

rabb e kaaba ki qasam, kaaba ab utalib ka hai


haaan....

dekhta hoon jab alam, aati hai ye dil se sadaa


parcham e abbas par panjaa abu talib ka hai

abu talib abu talib..(4)


Sab par hai ehsaan ali ke baba ka

deen e nabi hai daan ali ke baba ka


1) Jiska namak haqq mehr mey aaya zehra ke

jispe pale hai paalne waale dunya ke


hai wo dastarkhaan ali ke baba ka ..(2)

Sab par hai ehsaan....


2) Nau zilhajj ko choomne jaatii hai dunya

chakkar uske ghar ki lagaatii hai dunya


hai ye pataa aasaan ali ke baba ka ..(2)

Sab par hai ehsaan....


3) Farsh e zamee'n par kaar e khudaayii kartaa kaun

aqd e khadeeja aur Mohammad padtaa kaun


ye bhii hai ehsaan ali ke baba ka ..(2)

Sab par hai ehsaan....


4) Jaise huwa tha arsh pe aqd e zehra me

tera(13) rajab waise hi sehne Kaaba me


jashn ho aaliishaan ali ke baba ka ..(2)

Sab par hai ehsaan....


5) Uski zabaa se pehle lafz nikalte hai

phir jaakar alhamd ki aayat bante hai


qaarii hai qur'aan ali ke baba ka ..(2)

Sab par hai ehsaan....


6) Jaao Jaao

Jaao jahannum tum sab ki aisii taisii


manwaalega tumse aakar khud MEHDI(ajtf)

matt maano ehsaan ali ke baba ka ..(2)


Sab par hai ehsaan....

7) Jannat se malboos kahaa woh laaya tha


eidiii lekar Dada kii wo aaya tha

naukar tha rizwaan ali ke baba ka ..(2)


Sab par hai ehsaan....

8) Iska banaane waala takallum shia tha


nikle yahaa se jo hai dushman shiyo ka

hai ye pakistaan ali ke baba ka ..(2)


Sab par hai ehsaan ali ke baba ka

deen e nabi hai daan ali ke baba ka