Kanz e Aza

eid aayi hai rajab shaban ki

A manqabat written by Farhan Ali (2008). Lyrics in Roman Urdu.

eid aayi hai rajab shaban ki

salle ala ka shor utha


zehra ke gharaane ki ye khushiyaan hain

mubaarak eid mubaarak


eid aayi hai rajab shaabaan ki

tin pisar hain haidar ke


tinon rajab me aaye hain

aamade baaqir huwi pehli rajab ko marhaba


paanchwi aayi rajab aaye naqi salle ala

daswi rajab ko aaye taqi kehte hain jinhe


farzande raza

ye tajalli hai dile imraan ki


no rajab ko aaye hain

asghar ibne shaahe hoda


aa gaya zehra ke gulshan me gule umme rabab

tisre baabul hawaaej ka mila jis ko khitaab


arsh pe qudsi jhoom rahe hain aur zameen pe

buturaab


jaan hain ye sayyade zishaan ki

tera rajab ko aaye ali


tera rajab ko aaye ali

wo jahaan me aa gaya jo ho gaya ghaalib laqab


aamade binte asad par shak huwi diwaar jab

khush huwa kaaba aur payambar bole abu talib ke lab


ye pisar tasweer hai subhaan ki

bibi zainab ki wilaadat


hai pehli shaabaan ko

shabbar o shabbir jaise bhayi ki hamshir hai


malka e sharm o haya hai waarise tatheer hai

shaan me zehra baat me haidar azm me ye


shabbir hai

pehli aayat sabr ke quraan ki


shaabaan ki hai tisri

aur aamad shabbir ki


raahib o fitrus pukaare aa gaya mera sakhi

arsh se jhula jhulaane aa gaye jibreel bhi


raaqibe doshe ehmade mursal fakhre khuda aur

fakhre ali


ye khabar hai tisri shaabaan ki

chothi sahar shaabaan ki


aur aamad abbas ki

god me le kar ali bole mera akkaas hai


ye dile zainab dile shabbir ka ehsaas hai

maine dua me maanga tha jisko han ye wohi


abbas hai

hai sanad allah ke ehsaan ki


aayi thi shaabaan ki saat

ibne hasan qaasim ke saath


jab liya aaghosh me farwa pukaari ay khuda

hubahu hai baap ki surat ye mera laadla


meri ibaadat meri riyaazat ka ye diya hai tu ne

sila


laaj rakhli tu ne mere maan ki

gyaara thi shaabaan ki


thi wilaadat akbar ki

dekh kar is chaand ko wo chaand bhi sharmaa


gaya

umme layla ne kaha lo aa gaye phir mustafa


is ke husn ka khums nikaala tab yusuf ko husn

mila


maang le kheir zuleikha jism o jaan ki

mehdiye doraan ki aamad


hai pandra shaabaan ko

ay khusha qismat zameen par aa gaya wo


maahtaab

wo ujaala din ka hai jaanashine buturaab


mazhare yazdaan ka wo mazhar noore mujassam

laajawaab


laaj rakhne aa gaya yazdaan ki

ehlebeyt ki khushiyon me


saare hussaini shaamil hain

ek duje se gale mil kar mubaarak baad do


pehn ke kapre naye ghar ghar charaagha bhi

karo


saare hussaini mazhar aur farhaan ki tarha mil ke kaho

eid aayi hai rajab shaabaan ki