Kanz e Aza

Lylatul qadr ka tarjuma Fatima

A manqabat written by Mir Hassan Mir (2020). Lyrics in Roman Urdu.

Lylatul qadr ka tarjuma Fatima

La fata kay khuda ka pata fatima


Sayyeda,Tahira,Raziya,Marziya

Hai yahi sub se bara tera qasida Zehra

Baap kehta hai tujhe Umme Abiha Zehra

Qul e eman ne parhi hai tere anchal pe namaz

Kyun na phir tujh ko kahun kabe ka kaaba Zehra


Lylatul qadr ka tarjuma Fatima

La fata kay khuda ka pata fatima


Anbiya ke hain mushkil khusha Murtaza

Murtaza ki hain mushkil khusha Fatima

Yeh na hoti to kuch bhi na hota kahin

Kun ka matlab hai kiya Fatima Fatima


Teri Fizza ki dehleez se mang ker

Moujize le gaye anbiya Fatima

Qabr e Masooma qom dikha di mujhe

Haq se pucha jo tera pata Fatima


Jab bhi meraj ki dil mai khuwaish hui

Tere ghar agaye, Mustafa Fatima

Gasibon pe jo lanat nahu bhejta

Aesq beta hai kis kam ka Fatima


Tum bhi parde mai thin kuch to waze karo

Aur meraj mai kiya hua Fatima

Ban rahy haun kad o khal Abbas ke

Hain musalle pe mehw e dua Fatima


Ja ke dekho likha hai yeh tariqh mai

Kis se ho kr gayib hain khafa Fatima

Haq ki tareef likhni thi ik lafz mai

Bus taqallum ne phir likh dya Fatima