Kanz e Aza

Kushta-e-shamsheer alamdaar

A noha (2016). Lyrics in Roman Urdu.

Kushta-e-shamsheer alamdaar


Aye alamdaar... Saqqa e sakina

Abbas alamdaar, alamdaar..(2)

Peshe nigaahe shahe karbala

ghalti daye khaako khoo'n

shud parchame bawafa

nauhakuna sayyede abraar

Ah uftaad e sare karbobala ya zainab..(2)


kushta e shamsheer alamdaar

kushta e shamsheer alamdaar, alamdaar..(2)


Allah, Allah...


kushta e shamsheer alamdaar, alamdaar..(2)


Alamdaar, Alamdaar

1. Haaye...

Ae bahan jispe naaza the hum

hogaye hai wo baazu qalam


pyaaso pe fida hogaya, saqqa e sakina

pardes mein hum dono ka, dushwaar hai jeena

arey, bhai hume chhod gaya ya zainab


Ah uftaad....


2. Haaye, Aaayi maqtal se jab ye sada

aaiye ibne shere khuda

jis samt se awaaz mujhe aai thi behna

mai thokre khaata hua us simt hi nikla

arey, raah mein ek bazu mila, ya zainab


Ah uftaad....


3. Haaye.... Phir usi samt mai chal diya

aai thi jis taraf se sadaa

jab dusra bazu mila, us shere jari ka

dil dard se lachaar hua, tere akhi ka

arey, hoto pe aayi ye buka, ya zainab


Ah uftaad....


4. Haaye...

Aye bahan thaam lo dil zara phir wo lamha qareeb aagaya

be dast alamdaar ko, jab khaak pe dekha

us sher ki peshani pe, ek gurz laga tha

arey, dil pe wahi gurz laga, ya zainab


Ah uftaad....


5. Haaye... Phir wo karne laga yu kalaam

ibne zehra ho tumpar salaam

mai roke ye bola ke, zara aankhein to kholo

aye bhai agar koi, wasiyat hai to kehdo

arey, sunke jari rone laga, ya zainab


Ah uftaad....


6. Haaye...

Roke ghaazi ye kehne laga

arz itni hai shahe huda

mai mashk pe qurbaan hua, ye to batana par laash meri khaime mein, lekar nahi jaana

arey, maine bhi aisa hi kiya, ya zainab


Ah uftaad....


7. Haaye...

Sunke zainab ne nauha kiya

ab chinegi yaqeenan rida

aye mazharo irfan wo, qayamat ka tha manzar


ghaazi ki bahan aagayi, khaimo mein tadapkar

arey

khaimo mein kohraam utha...

Haye alamdaar, haye alamdaar, haye alamdaar