Kya cheez yatimi hai poocho ye sakina se
Hoti hai kaisi ghurbat, kaise kahe wo maa se
Kya cheez yatimi hai poocho ye sakina se
1) Zindaa'n ke andhero'n me, dum ghut'ta hai ab mera
amma bohot hai wehshat, ghar le chalo yahaa'n se
Kya cheez yatimi hai poocho ye sakina se
2) Zaalim ki aziyyat se, hai kaan mere zaqmi
aye ammu bacha leeje, is shimre bad eemaa'n se
Kya cheez yatimi hai poocho ye sakina se
3) Zindaa'n ke dar pa aakar, ye puchti thi aksar
kab jaaenge watan ko, aye bhai hum yahaa'n se
Kya cheez yatimi hai poocho ye sakina se
4) Kaise bayaa'n karu mai, jo mujh pe guzarti hai
baba hai na hai ammu, chudhwaae jo zindaa'n se
Kya cheez yatimi hai poocho ye sakina se
5) Baazaar-e-shaam me thi, Abid pa ye musibat
sab bibiyo'n ke shaane , baandhe the reesmaa se
Kya cheez yatimi hai poocho ye sakina se
6) Nanha sa ek gala tha, rassi me jo bandha tha
Khul waao is rasan ko, kehti thi naatawaa'n se
Kya cheez yatimi hai poocho ye sakina se
7) loota hua wo saamaa'n , waapas mila hai jis dam
nanhi si ek rida ko, hasrat se dekha maa ne
Kya cheez yatimi hai poocho ye sakina se
8) Maa kis tarah bhulaayei'n, masooma ki sadaayei'n
Pardes me na koi, bacchi juda ho maa se
Kya cheez yatimi hai poocho ye sakina se
9) Hyder bapa tha mehshar , aaya jo shaah ka sar
godi me liye sar ko, ruqsat hui wo maa se
Kya cheez yatimi hai poocho ye sakina se