kya pad gayi zindan mein uftaad sakina
sab se juda hogayi nashaad sakina
karti thi bayan laash pe ye bano e bekas
faryad hai faryad hai faryad sakina
kya pad gayi zindan mein...
takraati hai zindan mein dewaar se sar ko
tum mar gayi maa hogayi barbaad sakina
kya pad gayi zindan mein...
utho to zara paas phupi jaan khadi hai
hote hai tumhare liye nashaad sakina
kya pad gayi zindan mein...
bedaad hui wo jo kisi par na hui thi
kuch apni zaban se kaho rudaad sakina
kya pad gayi zindan mein...
seene pe sulaane ke liye aaye hai baba
maa kehti hai utho meri nashaad sakina
kya pad gayi zindan mein...
abbas chacha aaye hai karte huwe matam
inki suno apni kaho uftaad sakina
kya pad gayi zindan mein...
ghurbat se yehi kehta hai zindan ka andhera
reh jayegi ta hashr teri yaad sakina
kya pad gayi zindan mein...
hai hathkadi haathon mein to paon mein hai bedi
dafnate hai phir bhi tumhe sajjad sakina
kya pad gayi zindan mein...
basti hai basayi hui gham ki ali fitrat
har dil hai teri yaad se abaad sakina
kya pad gayi zindan mein...