kyu ho soughra se tum qafa baba
qat ko bas dediya hai qaasid ko
legaye kyu na mujhko saath apne
badhti jaati hai meri beemaari
bheja ab tak na bhai akbar ko
waada poora nahi hua baba
kya karu mai hu door uftaada
aap aaye na qat likha baba
ab to karwat bhi le nahi sakti
zouf ki hai ye intehaa'n baba
kab tak aaenge aap batlaao
aa rahi hai meri qaza baba
ghutnio chal raha hai kya asghar
yaad aata hai mailaqa baba
aap ke saath saara kunba hai
koun meri kare dawa baba
qairo qoobi se aap aajaye'n
karti rehti hu mai dua baba